Allah Ko Kya Pasand Hai

Allah Ko Kya Pasand Hai

main aapko yahan par bataon ga keh allah ko kya kya pasand hai.

allah ko namazi bahut pasand hai.

tasbeeh padhne wale ki allah ki nazar me bahut ahemiyat hai.

tauba karna ye bhi allah ki nazar me bahut umda chiz hai.

allah paak saaf rahene walon ko pasand karta hai.

jitne bhi aamal hain jinko allah ne har musalman par farz kiye hain jinka ada karna har musalman ke liye zaroori hai.

un aamal ko agar koi musalman karta hai to allah ko ye bahut pasand hai.

kabira aur sagira gunah se bachne wale ko bhi allah pasand karte hain.

badi neki karne par to allah khush hote hi hain lekin agar aap chooti se chooti neki bhi karoge to allah usse bhi khush honge.

aur yahi nahi agar aap kisi chote gunah se bhi khudh ko bachate hain to bhi allah bahut khush hota hai.

aur agar aap bade gunah yani kabira gunah se bachte hain to allah paak aapse bahut hi zyada khush honge.

bass ye dheyan me rakho keh allah ki nafarmani kabhi bhi nahi karni.

aur allah ki farmabardari hamesha karte rahena hai.