Azan Ka Jawab Kaise Dena Chahiye

Azan Ka Jawab Kaise Dena Chahiye

azan ka jawab kaise dena chahiye main aapko batata hoon.

jo jo alfaaz muazzin sahab padhte hain jaise hi wo khamoosh ho waise hi aapko bhi wahi alfaaz dohrane hain.

jaise muazzin sahab ne kaha Allahu Akbar Allahu Akbar jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Allahu Akbar Allahu Akbar kahena hai.

phir muazzin sahab kahenge Allahu Akbar Allahu Akbar jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Allahu Akbar Allahu Akbar kahena hai.

jab muazzin sahab kahenge Ashhadu an la ilaha illallah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Ashhadu an la ilaha illallah kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge Ashhadu an la ilaha illallah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Ashhadu an la ilaha illallah kahena hai.

jab muazzin sahab kahenge Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah to bahut se log ye alfaaz padhte nahi hai balke Sallallahu Alaihi Wasallam padhte hain jo ke sunnat tarika nahi hai.

aapko Sallallahu Alaihi Wasallam nahi padhna hai.

jab muazzin sahab kahenge Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah kahena hai.

jab muazzin sahab kahenge Hayya alas Salah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko La Hawla Wala Quwwata illa Billah kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge Hayya alas Salah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko La Hawla Wala Quwwata illa Billah kahena hai.

jab muazzin sahab kahenge Hayya alal Falah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko La Hawla Wala Quwwata illa Billah kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge Hayya alal Falah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko La Hawla Wala Quwwata illa Billah kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge Allahu Akbar Allahu Akbar jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi Allahu Akbar Allahu Akbar kahena hai.

phir jab muazzin sahab kahenge La ilaha illallah jaise hi muazzin sahab khamosh ho waise hi aapko bhi La ilaha illallah kahena hai.

phir jab muazzin sahab azan mukammal karle to aapko nabi par darood padhna hai.

jo bahut se log Ashhadu anna Muhammadar Rasulullah par darood (Sallallahu Alaihi Wasallam) padhte hain ye darood aapko padhna hai azan mukammal ho jane ke baad.

aur phir azan ke baad ki dua padhni hai.

fajar ki azan ka jawab kaise dete hain.

is baare me main aapko batata hoon.

fajar ki azan ka jawab dene ka tarika bhi bilkul isi trah hai jaise maine oopar aapko bataya.

bas jab muazzin sahab 2 martaba kahenge As salaatu khayrumminan nawm waise hi aapko bhi As Salaatu Khayrumminan Nawm kahena hai.

fajar ki azan ka jawab dene ka tarika bhi bilkul usi trah hai jo baaqi 4 waqt ki azano ka hai.

muazzin sahab to boland awaaz me azan de rahe honge lekin aapko dil dil me ya phir bahut hi dheemi awaaz me azan ka jawab dena hoga.

mujhe ummeed hai aapko pata chal gaya hoga keh azan ka jawab kaise dena chahiye.