Bewa Aur Talaq Shuda Aurat Ki Iddat Ka Tarika
main aapko batata hoon bewa aur talaq shuda aurat ki iddat ka tarika kya hai aur kitne waqt tak iddat rahegi.
bewa aurat agar haamla (pregnant) hai to jaise hi bachcha paida hoga usi waqt iddat khatam ho jaye gi.
bachcha paida hone me 10 minute lage ya 10 mahine lage jab tak bachcha paida nahi hoga bewa aurat ki iddat khatam nahi hogi.
mesaal ke taur par bewa aurat ke mard ki maut jis din bhi hui hai aur uske 5 minute ke baad bachcha paida hota hai.
to maut ke 5 minute ke baad hi aurat ki iddat khatam ho jaye gi.
jaise hi bachcha paida hoga waise hi bewa aurat ki iddat khatam ho jaye gi.
aur agar bewa aurat haamla (pregnant) nahi hai to 4 mahina 10 din tak iddat rahe gi.
isi trah agar talaq shuda aurat agar haamla hai to jaise hi bachcha paida hoga usi waqt iddat khatam ho jaye gi.
bachcha paida hone me 10 minute lage ya 10 mahine lage jab tak bachcha paida nahi hoga talaq wali aurat ki iddat khatam nahi hogi.
mesaal ke taur par talaq wali aurat ko talaq jis din bhi hui hai aur uske 5 minute ke baad bachcha paida hota hai.
to talaq dene ke 5 minute ke baad hi aurat ki iddat khatam ho jaye gi.
talaq dene ke baad jaise hi bachcha paida hoga waise hi talaq yafta aurat ki iddat khatam ho jaye gi.
aur agar talaq shuda aurat haamla (pregnant) nahi hai to 3 haiz (menses) jab tak nahi aata tab tak iddat rahe gi.
aur agar koi aurat bahut zyada umr ki hai aur usko haiz aate hi nahi to uski talaq ke baad iddat hogi 3 mahine.
ye to maine aapko bataya iddat ka time.
to ab dekh lete hain iddat ka tarika kya hai.
yani iddat me kya kya karna chahiye.
ye jo main batane wala hoon kya kya karna chahiye ye talaq shuda aur bewa dono ke liye hai.
pahela kaam to ye hai keh wo shohar ke ghar se bahar nahi nikal sakti.
agar kisi ko khatra ho keh mard ne talaq di hai aur wo nikah ke bagair relation banaye ga to aurat apne maa baap ke ghar apni iddat guzare.
agar maali halat bahut kharab hai aur aurat ke kamaye baghair ghar nahi chal sakta to aurat sirf kamane ke liye bhi ghar se bahar nikal sakti hai.
is halat me aurat sirf kaam par jaye aur kaam khatam hone ke fauran baad ghar me aajaye.
doosra kaam zeenat wali chize istemaal nahi kar sakti.
yani chodi pahenna, earing, haar, jhumka jowellery waghaira nahi pahen sakti.
bahut hi chamkila dress jaise kapde shaadi me pahene jaate hain waise kapde nahi pahen sakti.
normal kapda pahen sakti hai.
perfume, surma aur makeup waghaira nahi kar sakti.
mera matlab sajhne sawarne wala koi bhi kaam aurat iddat me nahi kar sakti.
ghusl kar sakti hai.
aap neeche wala video zaroor dekhe aapko achche se smajh me aa jayega.