Dua Kaise Mange

Dua Kaise Mange

dua mangne ke liye sabse pahele aap allah paak ki tareef aur hamd sana kare.

allah ki tareef me aap pahela doosra teesra kalma aur qulho allahu ahad aur surah fatiha ki paheli 3 ayat padh sakte hain.

jis dua me ya kalme me ya qurani ayat me allah ki hamd sana bayan ki gai ho wo aap padh sakte hain.

allah ki hamd sana bayan karne ke baad nabi (sallallahu alaihi wasallam) ke ahsanaat ko soch kar nabi (sallallahu alaihi wasallam) par darood padhe.

aap darood ibrahim bhi padh sakte hain.

nabi (sallallahu alaihi wasallam) par darood padhne ke baad allah se dua mange.

allah se wo dua mange jo nabi (sallallahu alaihi wasallam) se saabit hai.

aap apni zaban me bhi dua maang sakte ho.

lekin nabi (sallallahu alaihi wasallam) wali dua afzal hai.

jo arabi duaaye hai unko aap apni zaban me bhi maang sakte hai.

aap dua me sabse pahele apni aakhrat ke baare me dua kare.

aakhrat ke baare me dua karne ke baad aap phir apni duniya ke liye dua kare.

dua ro ro kar maange.

dua khoob shauq se mange.

dua aajizi ke saath mange.

dua khoob allah ki taraf dheyan lagakar mange.

dua mangte huye ye soche ke allah aapko dheyan se sun raha hai.

dua mangte huye dil me ye yaqeen hona chahiye keh allah aapki har dua ko qubool karega.