Fajar Ki Namaz Ke Baad Sona Kaisa Hai
Dekha jaye to fajar ke baad sona Haram ya Najaiz nahi hai.
Agar aap thake huye hain aur neend poori karne keliye so rahe hain to aap par koi gunah nahi hoga.
Koi Majboori me to fajar ke baad sona theek hai.
Lekin normaly fajar ke baad sona pasandeeda nahi hai.
Agar aap apna koi kaam fajar ke baad shuru karde to ye aapke liye zyada bahetar hai.
agar aap isha padhne ke fauran baad so jaate ho aur fajar se pahele uth jaate ho to mere khayal se aapko fajar ke baad sone ki zaroorat nahi hai.
Nabi saw ne farmaya Meri ummat keliye Allah ne Subah ke waqt me barkat rakhi hai.
Subah subah jo bhi kaam shuru kiya jayega to usme barkat hogi.