Ghar Me Namaz Padhna Kaisa Hai

Ghar Me Namaz Padhna Kaisa Hai

agar koi mard baghair kisi majboori ke ghar me namaz padhta hai to ye islam me bahut hi galat baat hai.

aap sunnat nafil apne ghar par padh sakte hain lekin farz namaz aapko masjid ja kar jamat ke saath hi padhni padhegi.

nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “maine irada kiya keh jo log apne ghar me namaz padhte hain main kisi ko hukm do ke wo ja kar unke gharon ko aag laga de lekin mujhe unki aurton aur bachchon ka khayal hai”.

is se ye pata chalta hai keh masjid me na ja kar ghar me namaz padhna kitni buri baat hai.

kuch aise halaat aate hai zab ghar me namaz padhna jaiz hai jaise kuch saal pahele corona aaya tha.

kisi par zulm ho raha hai ya kisi ko khatra hai keh wo masjid me namaz padhega to use jaan se maar denge aisi halat me ghar par namaz padh sakte hain.

agar aapne abhi islam qabool kiya hai aur aapko darr hai keh aap masjid ja kar namaz padhenge to log aapko nuqsan pahuchayenge to aap ghar me chup kar namaz padh sakte hain aap par koi gunah nahi hoga.

agar kisi shaher me bahut hi tez baarish aa rahi hai raaste me bahut hi zyada paani hai aur aapko ye lagta hai keh aap masjid sahi salamat nahi pahunch sakte to aap ghar par namaz padh sakte hai.

sirf majboori me hi ghar mein namaz padh sakte hai.

agar aap ghar me namaz nahi padhte aur jamat ke saath masjid me namaz padhte hain to aapko 27 gunah zyada shawab milega.

nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo masjid me namaz padhne ke liye nikalte hain uske har qadam par ek nekiye likhi jaati hai aur har qadam par ek gunah maaf hota hai.

mard ke liye masjid ja kar jamat se namaz padhna wajib hai.

wo nahi padhega masjid ja kar jamat se namaz to wo gunah gaar hoga.

ghar me namaz padhega namaz to ho jayegi.

magar gunah hoga jamat se namaz chorne ka.

lekin agar koi bahut hi majboori hai to aap ghar par namaz padh sakte hain.