Gheebat Ka Kaffara
dekha jaye to iska koi kaffara nahi hai.
agar aapse kisi gheebat ho gai hai aur aap chahte hain is gheebat ko maaf karana to aapko 2 kaam karne padege.
pahela kaam aap allah se dua kare aur allah se kahe keh ya allah jo maine gheebat ki hai.
usko maaf farma main is gunah se tauba karta hoon.
aur aapne jiski gheebat ki hai uske liye kahe ya allah maine jiski burai ki hai.
uske gunah tu aise hi maaf farma uske gunah mujh par na daal.
aur uski nekiyan aise hi bada de meri nekiyan usko na de.
aur doosra kaam jin logon ke saamne apne gheebat ki hai unke samne us aadmi ki tarif karde.
yani jiski izzat aapne kam ki hai uski izzat me azafa karde.
aur ye gheebat doobara kabhi na kare.
aur agar phir kabhi hojaye to apne aap par jurmana rakhe.
jab kabhi aapse gheebat hogi to aap kuch paise zaroor sadqa kare.