Ilm Ki Ahmiyat

allah ki nazar me deen ke ilm ki sabse zyada ahmiyat hai.

islam dunya ke ilm ke khelaaf nahi hai.

jo hum school collage me padhte hain islam iske khelaf nahi hai.

agar aap school collage ka ilm seekh kar islam se door ho rahe hain to yahi duniya ka ilm aapko jahannam me lekar jayega.

meshal ke taur par agar aap doctor banna chahte ho paisa kamane ke liye to allah ki nazar me iski koi haishiyat nahi hai.

aur agar aap doctor ban kar insaniyat ki khidmat karna chahte hai allah ko khush karne ke liye to ye ibadat me gina jayega.

agar aap allah ke liye doctor bante ho to aap is me paisa bhi kama sakte hain.

paisa kamane ki manai nahi hai.

aap ameer logon se paise le lena aur garibon ka muft ilaj kar dena.

aapki niyat allah ko khush karna honi chahiye sirf paisa kamane ki nahi.

sirf doctor hi nahi balke koi bhi field ho aapki niyat allah ko khush karna hogi to duniya ke ilm par aapko shawab milega.

yani aapko duniya ilm bhi aur deen ka ilm bhi sirf aur sirf allah ke liye hasil karna hoga.