Isha Ki Namaz Ki Rakat

Isha Ki Namaz Ki Rakat

doston main yahan par aapko isha ki namaz ki rakat ke baare me batane wala hoon.

isha ki namaz ki total rakat 17 hai.

sabse pahele 4 rakat sunnat e ghair muakkada hai.

ye 4 rakat sunnat e ghair muakkada aap nahi bhi padhoge to chalega lekin ise har baar chorna nahi chahiye.

4 rakat sunnat e ghair muakkada ko padhne par sawab milega lekin chorne par gunah nahi hoga.

iske baad imam sahab ke peeche 4 rakat farz hai.

agar aapki jamat se namaz chhoot gayi hai to bhi aap apni 4 rakat hi farz namaz padhege.

ye 4 rakat farz chorna kabeera gunah hai.

isko padhna hi chahiye.

iske baad 2 rakat sunnat e muakkada hai.

isko bhi padhna hi chahiye.

agar aapki koi bahut hi shadeed mazboori hai tabhi aap isko chor sakte ho warna nahi.

agar bila wazah aap isko choroge to aapko bahut gunah milega.

iske baad 2 rakat nafl hai.

isko aap chahe to padh bhi sakte ho aur agar aap chahe to chor bhi sakte ho.

2 rakat nafl ko aap padh lo to bahut hi achcha hai lekin isko chorne par gunah nahi hoga.

iske baad 3 rakat witr hai.

witr ki namaz isha ki namaz me se nahi hai.

witr ki namaz ko subah sadiq se pahele yani fajr ki namaz se pahele padhna chahiye.

lekin ahtiyatan isko isha ki namaz ke baad padhte hain.

witr ki namaz ko bhi padhna hi chahiye ye wazib hai.

isko aap choroge to aapko gunah milega.

iske baad aur 2 rakat nafl hai.

jaisa maine oopar bhi kaha hai ki nafl namaz ko aap padhoge to sawab milega lekin ise choroge to aapko gunah nahi milega.

dekha jaye to aapko puri 17 rakat padhni chahiye.

lekin agar aap 4 rakat farz, 2 rakat sunnat e muakkada aur 3 rakat witr itni bhi padh lete ho to aapki namaz ho jayegi.

agar aapko baaqi 5 waqton ki namaz ki rakat ke baare me janna hai to neeche wali line par click karen.

5 waqt ki namaz me kitni rakat hoti hai.