Islam Kaise Qubool Kare

Islam Kaise Qubool Kare

islam dharm apnane ke liye aapko dil se ye manna hoga keh ” allah ke sewa koi doosra khuda ya bhaghwan nahi hai aur muhammad (sallallahu alaihi wasallam) allah ke Messenger aur last prophet hain “.

sirf itna dil se manna hi kaafi nahi hai balke isko apni zaban se kahena bhi hai.

aapko apni zaban se kalma kahena hoga.

ashhadu alla ilaha illallah, wa ashhadu anna muhammadan abduhu wa rasuluh.

is kalme ka matlab hai “main gawahi deta hoon keh allah ke alawa koi doosra khuda nahi hai aur main gawahi deta hoon keh muhammad allah ke bande aur rasool hain”.

aur agar aapko darr hai khule aam islam accept karne ka ya koi khatra hai to khule aam islam qabool na kare.

balke aap apne dil me maan le aur tanhai me kalme ko apni zaban se kahe de.

itna karne se aap musalman ho jaoge.

kisi ko batana zaroori nahi hai.

musalman banne ke baad aapko kya karna chahiye ab main aapko wo batata hoon.

sabse pahele aapko 5 time namaz padhni hai.

ramazan ke mahine me aapko pura mahina roza rakhna hai.

agar aap paise wale hain to aapko zakat dena hai.

agar aap paise wale hain to aapko hajj karna hai.

in sab chizo ko aap chup kar khamoshi se bhi kar sakte hain sabko batane ki koi zaroorat nahi.

allah to dekh hi raha hai kisi aur ko dikha kar kya karna hai.

agar aapko namaz roza zakat aur hajj ke baare me janna hai to aap youtube par jaakar mufti tariq masood sahab ka bayan in sab chizo ke baare me sun sakte ho.