Jahaz Me Namaz Kaise Padhe
main aapko batata hoon jahaz me namaz padhne ka tarika.
agar hawai jahaj me aapko jana hai aur usi waqt namaz ka bhi time hai to aapko ahetiyat se kaam lena hoga.
hosake to wuzu aap airport par hi kar lo.
take aapko jahaz me wuzu banane me dikkat na aaye.
aap wuzu jahaz me bhi kar sakte hain.
aap jahaz walo se qible ka rokh zaroor pata kare.
aapko chahiye keh aap jahaz walo se namaz padhne ki ijazat le.
agar jahaz wale aapko ijazat de de to aap jahaz me khade hokar achchi trah se namaz padh lo.
aur agar jahaz wale aapko permision na de to aapko usi seat par baith kar namaz padhni padhegi.
jaise buzurg hazraat ko masjid me padhte hain.
aur phir baad me apni jagah par pahunch kar isi namaz ko khade hokar achchi trah doobara zaroor padhe.