Janaze Ki Namaz Kaise Padhte Hain

Janaze Ki Namaz Kaise Padhte Hain

Namaz e Janaza me 4 Takbire Farz hai.

yani agar kisi ko kuch bhi na aata ho janaze ki namaz me to wo ye karo.

Imam ne jab paheli martaba Allahu Akbar kaha to aap bhi Allahu Akbar kahe.

Imam ne jab doosri martaba Allahu Akbar kaha to aap bhi Allahu Akbar kahe.

Imam ne jab teesri martaba Allahu Akbar kaha to aap bhi Allahu Akbar kahe.

Imam ne jab chauthi martaba Allahu Akbar kaha to aap bhi Allahu Akbar kahe.

aur jab imam salam phere to aap bhi salam pherde.

to aapki janaze ki namaz hogai hai.

chahe koi bhi Dua padhi ho ya na padhi ho.

4 takbeere Farz ada ho jane se namaz e janaza ada ho jaye gi.

Lekin ye Masnoon Tarika nahi hai.

Masnoon Tarike par Namaz e Janaza padhna chahiye.

Masnoon Tarika ye hai keh imam paheli takbeer kahe to aapko Allahu Akbar kahene ke baad aap Sana (Subhana kallahumma wa bihamdika wa tabarakasmuka wa ta’ala jadduka walaa ilaha gairuk) padhe.

imam doosri takbeer kahe to aapko Allahu Akbar kahene ke baad Darood e Ibrahim (Allaahumma salli ‘alaa Muhammadin wa ‘alaa ‘aali Muhammadin, kamaa sallayta ‘alaa ‘Ibraaheema wa ‘alaa ‘aali ‘Ibraaheema, ‘innaka Hameedun Majeed. Allaahumma baarik ‘alaa Muhammadin wa ‘alaa ‘aali Muhammadin, kamaa baarakta ‘alaa ‘Ibraaheema wa ‘alaa ‘aali ‘Ibraaheema, ‘innaka Hameedun Majeed) padhe.

imam teesri takbeer kahe to aapko Allahu Akbar kahene ke baad Dua (Allaahum-maghfir lihayyinaa, wa mayyitinaa, wa shaahidinaa, wa ghaa’ibinaa, wa sagheerinaa wa kabeerinaa, wa thakarinaa wa ‘unthaanaa. Allaahumma man ‘ahyaytahu minnaa fa’ahyihi ‘alal-‘Islaami, wa man tawaffaytahu minnaa fatawaffahu ‘alal-‘eemaani, Allaahumma laa tahrimnaa ‘ajrahu wa laa tudhillanaa ba’dahu) padhe.

ya phir iski jagah par aap koi aur dua bhi padh sakte ho.

aur Imam ne chauthi martaba Allahu Akbar kaha to aap bhi Allahu Akbar kahe.

aur jab imam salam phere to aapko bhi salam padhte huye salam pherna hai.

Masnoon Tarike se aapki janaze ki namaz mukammal ho chuki hai.