Jannat Kaisi Hogi

Jannat Kaisi Hogi

jannat me har khwahish puri hogi.

jannat me jannati jo bhi mange ge wo sab kuch unko milega.

jannat me sabse bahetrin chiz jo mardo ke liye hogi wo hoor hai.

jannat me aise baagh honge jinme darakhton ki daale phaloon se jhoki hui hongi.

jannat na sardi hogi na garmi jannat me ek jaisa temperature honga yani jannat me ek jaisa bahut hi khushgawar mausam hoga.

jannat me jannati hamesha jawan rahenge aur jo hoore milegi wo bhi hamesha kunwari jawan aur khubsurat rahegi.

jannat me kisi ko koi bimari nahi hogi.

jannati me kisi ko maut nahi aayegi.

jannat me jannati hamesha badshaho wali zindagi jiye ge.

jannat me jannati aapas me muhabbat se rahenge yani jannatiyon ka aapas me koi jhagra ya aapas me koi buri baat nahi hogi.

jannat ki sharab aisi hogi jo bahut hi lazeez hogi aur is se koi nuqsan bhi nahi hoga.

jannat me 4 laheren hongi sharab ki doodh ki shahed ki aur aise pani ki jo zaiqe me bahut hi lazeez hoga.

jannat me na bhook ki taklif hogi aur na hi lebaas ki jannat me sab kuch milega aur bahut achcha milega.

jannat me jannati jo khana khaye ge wo bhook ki taklif ki wajah se nahi balke sirf lazzat ke liye.

jannat me jis parindey ka ghost khane ka dil karega wo milega.

jannat me bahut bachche aur nokar chaakar honge jo jannatiyon ki khidmat karenge bilkul raza ki trah.

ek rewayat me aata hai ke agar koi jannat apni aankhon se dekh le usko duniya jahannam lage gi itni haseen aur khobsurat hai jannat.