Jannat Me Jane Ka Rasta

Jannat Me Jane Ka Rasta

islam me jannat me jane ki koi khaas dua nahi hai jisko padhkar aap jannat me chale hi jayenge.

jannat me pakka jane ke liye aapko sabse pahele fraiz, wajibaat aur sunnat e muakkada ko ada karna zaroori hai.

main baat sirf namaz ki nahi kar raha hoon.

nabi (sallallahu alaihi wasallam) ne jin aamal ko farz wajib aur sunnat e muakkada kaha hai unko karna zaroori hai.

nafli ibadaat karna zaroori nahi hai zyada shawab ke liye aap karna chahe to kar sakte hain.

aur doosra kaam aapko kabira gunahon se bachna hoga.

ye 2 kaam aap karloge to aap jannat me chale jaoge.

kabira gunah karte huye jannat me jane ka koi shortcut rasta nahi hai.

sagira gunah chote mote gunah ho jaye to allah se maafi manglo.

lekin sagira gunah ko chor dena hi afzal hai.

agar aapko jannat me jane ke tarike ke baare me janna hai to mufti tariq masood sahab ka video zaroor dekhe.

video dekhne ke liye yahan click kare.