Jhoot Bolne Ki Saza
jhoot bolna gunahe kabeera hai aur gunah e kabira baghair tauba ke maaf nahi hota.
agar aap jhot bolte rahe aur baghair tauba ke mar gaye to aapko iski bahut hi sakht saza milegi.
allah ki thori saza hi bahut hai to socho bahut sakht saza kaisi hogi.
marne ke baad hi nahi zindagi me bhi jhote logon ko bahut si pareshaniya aati hai barkate khatm ho jaati hai.
jhoot bolne walon ko allah pasand nahi karta.
nabi (sallallahu alaihi wasallam) ne jhoot bolne wale par lanat ki hai.
nabi (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya musalman har gunah kar saka hai lekin jhoot nahi bol sakta.
har musalman ke liye jhoot se bachna farz hai namaz ki trah.