Jinn Bhagane Ka Tarika
ghar se jin bhagane ke liye taweez to pahen sakte hain.
lekin bahetar ye hai keh sunnat tariqe se jinnat ko ghar se bhagaya jaye.
ye tariqa nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) se saabit hai.
sunnat tariqa ye hai keh Surah Falaq padhe Surah Naas padhe aur Surah Fatiha padhe aur Ayatul Kursi padhe bas itna kaafi hai.
ye sab padh kar dam kare.
jinnat se jitna aap darenge utna hi ye aapko satate rahenge.
inse bilkul na dare bas ye sab surte padh kar dam kare.
ghar me kisiko jinn aaya ho to aap wuzu kare.
aur surah falaq, surah naas, surah fatiha aur ayatul kursi padhkar uske oopar phonke ya phir padh kar paani par phonke aur paani ke zoor zoor se cheente maare uske oopar.
insha’allah isse fayda hoga.
fauran fayda nahi howa to maayos na ho.
bas yahi karte rahena hai.
koi galat salat tariqa nahi apnana hai.