Kutta Palna Kaisa Hai
main aapko batata hoon keh islam me kutta palna kaisa hai.
Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Irshad farmaya jisne kutta pala uske nama e aamal me se roz ek qeraat ke brabar nekiyan kam hogi.
ek qeraat ek pahaad (Mountain) ke brabar hota hai.
yani jo kutta palta hai bahut tezi se uski nekiyan khatam ho rahi hoti hai.
agar aapne bina koi zaroorat ke kutta paala to aapki nekiyan har din bahut tezi se khatam hoti chali jaye gi.
sirf zaroorat ke waqt nabi ne kutta palne ki izajat di hai.
jaise ghar ki hifazat ke liye ya shekaar ke liye aap paal sakte hain.
shauq ke liye ya logon ko dikhane (show-off) ke liye aap kutta nahi paal sakte.
nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bila zaroorat kutta palne ko haram aur na jaiz qarar diya hai.
aur nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye bhi kaha hai jis ghar me tasveer aur kutta hoga us ghar me rahemat ke farishte nahi aate.