Marhoom Ke Liye Dua Kaise Kare
agar aap apne kisi marhoom ke liye dua karna chahte hain to aapko dua karna aana chahiye.
dua karne ke liye aapko sabse pahele dua me allah ki hamd sana karni hogi.
allah ki badai karne ke baad aapko nabi (sallallahu alaihi wasallam) par darood padhna hoga.
ab aap apne kisi marhoom ke liye dua kar sakte hain.
aap apni zaban me bhi dua kar sakte hain marhoom ke liye.
aap unki maghfirat ke liye dua kar sakte hain.
unke gunaho ko maaf karne ke liye allah ko kahe sakte ho.
unko azab e qabr se nizaat mile ye dua aap kar sakte ho.
aap apne hesaab se aur bhi bahut saari duaaye kar sakte ho.
aur last me ye dua (Subhana Rabbika Rabbil ‘izzati ‘amma yasifun, Wa salamun ‘alal-Mursalina, Wal hamdu lillahi Rabbil ‘alamin.) padhkar apni dua khatam kar sakte ho.