Mazar Par Jana Kaisa Hai

Mazar Par Jana Kaisa Hai

mazar par jana kaisa hai is baare me Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya ke allah yahood aur nasara par lanat kare keh wo apne nabiyon ki qabr ko melaghah bana dete hain (melaghah yani khoob gardi karna).

mazar aur dargah par jo kuch ho raha hai islam me iski koi haqeeqat nahi hai.

ye saari chize haram aur najaiz hai.

kisi ki qabr par jakar is trah ki ulti seedhi harkate karna jiski islam me koi haisiyat nahi hai ye sab islam me na pasandeeda hai.

jo kuch mazaro aur dargaho par ho raha hai iska quran hadeesh se koi saboot nahi milta ulta in sab harkato se manah kiya gaya hai.

nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qabr ko ek baalis se zyada oonchi karne se manah kiya hai.

agar aap kisi buzurg ke mazar par jakar dua mangte hain ye soch kar ke allah ne is buzurg ko ikhtiyar de diya hai aapki madad karne ka to aap kaafir ho jaoge.

agar aap dargah jakar ye soch kar sajda karte hain keh mein ye jo sajda kar raha hoon ye is baba ke aage kar raha hoon to ye bahut hi ghatiya harkat hai islam me.

nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne khud apni qabr keliye in chizo ko bardasht nahi kiya.

dekha jaye to puri kainaat me allah ke baad nabi ka darza sabse zyada hai.

nabi ne farmaya keh mere duniya se jaane ke baad meri qabr ko eid ghah na banana yani aisa na karna jaise yahood aur nasara apne paghambaro ki qabr ke saath kiya karte hain.

aur nabi ne qabro ke aage sajda karne se bahut sakht manah kiya hai.

pareshaniyo me mazar par jana bhi haram hai.

pareshani door karne ke liye masjid me ya ghar par wuzu karke 2 rakat nafil namaz padh kar allah se dua kare.

pareshaniya hal karne ke liye ya mannat ya murad mangne ke liye mazar ya dargah par jana haram aur na jaiz hai.

agar kisi ki ye soch hai keh mazar par jakar allah se dua karne se zyada ya zaldi dua qabool hoti hai to ye bhi galat soch hai.

aurat ka mazar par jana bhi theek nahi hai.