Mirch Se Nazar Utarna in Islam

Mirch Se nazar Utarna in Islam

Hazrat Abdullah Ibn Masood se ek rewayat hai jisme wo kahete hain keh Baaz dafa shaitan bachchon ko tang karta hai.

Bachche rote hain.

Jab koi nazar utarta hai ya phir koi bhi totke karta hai to shaitan tang karna chor deta hai.

jisse keh un logon ka is trah ke totko par imaan mazboot ho jaye.

aur Allah par se Imaan Kamjor ho jaye.

Mujhe lagta hai ye shaitani amal hai.

in chizon ko aap chor de to zyada bahetar hai.

aap in chizon me jitna jaate jaoge utna hi ulajhte jaoge.

in fizol chizon se door rahena hi bahetar hai.

lal mirch se nazar utarna, namak se nazar utarna ya phir aur bhi trah ke totke in sab chizon ki islam me koi sharai haqeeqat nahi hai.

Aap in chizon me uljho ge to aapka imaan kamjoor hota chala jayega.

agar aapke ghar me kisi ko nazar lagi hai to aap allah se dua kare.

Inshaa’Allah wo theek ho jayega.