Musht Zani Se Kaise Bache

Musht Zani Se Kaise Bache

musht zani se bachne ke liye aap jald nikah kare.

jis waqt aap par khwahishat ka humla hota hai us waqt aap tanhai me na rahe.

apne aapko masroof rakhe kisi na kisi kaam me.

musht zani se bachne ke liye aap apne dimag se gandi chize nikal de.

aap badnazri na kare.

internet par gandi chize na dekhe.

ladkiyon se doosti na lagaye.

in sab chizo ko apne dimag se puri trah se nikal de.

allah ke saamne sachchi pakki tauba kare in sab chizo se.

aur agar kabhi doobara aap se ye burai ho jaati hai to apne aapko saza de kuch na kuch.

jab bhi aapse ye burai ho to kuch na kuch paise sadqa kare allah ki rah me.

aur kuch roze bhi rakhe.

saza itni bhi kam na ho keh uska asar hi na ho.

aur saza itni zyada bhi na ho keh aap apne aapko saza de hi na pa rahe ho.

darmiyani darze ki saza ho.

aapne aapko burai hone par saza de.

aur phir doobara allah ke samne tauba kare.

apni soch ko saaf rakhne ki koshish kare.

aur apne demag me ye thaan le keh aapko ye gunah chorna hai kisi bhi qimat par.

musht zani se bachne ka sabse afzal tarika yahi hai keh aap shaadi karle.