Namaz e Hajat Aur Namaz e Tauba Ka Tarika

Namaz e Hajat Aur Namaz e Tauba Ka Tarika

namaz e hajat aur namaz e tauba ka islam me alag se koi khaas tarika nahi hai.

aur na hi nabi ne bataya hai namaz e hajat aur namaz e tauba kaise padhte hain.

jaise 2 rakat nafil namaz padhte hain waise hi namaz e hajat aur namaz e tauba bhi aise hi padhte hain.

namaz e tauba ka na koi khaas tarika hai aur na hi namaz e hajat ka.

agar aapko namaz e tauba padhni hai to aap 2 rakat nafil namaz padhe aur phir uske baad dua me allah se apne gunaho ki maafi mang le.

agar aapko namaz e hajat padhni hai to aap 2 rakat nafil namaz padhe aur phir uske baad dua me apni hajat allah se mang le.

aisa nahi hai keh aap sirf 2 hi rakat nafil namaz padh sakte hain.

aap jitni chahe otni nafil namaz padh sakte hain.

mujhe ummeed hai keh aapko pata chal hi gaya hoga keh namaz hajat ( salatul hajat ) aur namaz tauba ( salatul tauba ) kaise padhte hain.