Namaz Ke Baad Kya Padhna Chahiye

Namaz Ke Baad Kya Padhna Chahiye

farz namaz padhne ke baad sabse pahele aap sirf “Allaahumma Antas Salam wa minkas salamu, tabarakta yaa zal Jalaali wal Ikraam” padhe.

iske baad aap sunnat namaze padhe.

sunnat namaz padhne ke baad aap aayatul kursi bhi padh sakte hain.

aap 33 martaba Subhanallah 33 martaba Alhumdulillah 34 martaba Allahu Akbar padh sakte hain.

ya phir aap 33 martaba Subhanallah 33 martaba Alhumdulillah 34 martaba Allahu Akbar aur ek martaba “la ilaha illallah wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu Wahuwa Ala Kulli Shai-in Qadeer” bhi padh sakte hain.

iske alawa bhi bahut si dua, azkar aur tasbeeh islam me batai gayi hai usko bhi aap padh sakte hain.