Qasar Ki Namaz Ka Tarika

Qasar Ki Namaz Ka Tarika

qasar namaz ka koi khaash tarika nahi hai.

farz namazo me jitni rakate hain uski aadhi padhni hai (yani 4 ki 2 rakat) to usko safar ki namaz ya qasr ki namaz kaha jata hai.

agar aap apne shaher se 78 kilometer door jaane ki niyat se nikle to aap jaise hi shaher ke bahar niklenge waise hi aap musafir ban jayenge ab aap qasr namaz padhenge.

aur agar aapka irada 78 kilometer door jaane ka nahi hai to aap shaher se bahar nikal kar bhi aapko puri namaz padhni hogi.

agar aap kisi shaher me rok kar 15 din rokne ki niyat karte hain to aapko puri namaz padhni padegi.

aur agar aap kisi shaher me rok kar 15 din rokne ki niyat nahi karte hain to aapko qasar namaz hi padhni padegi.

qasar namaz ki niyat aur rakat aur tarika ke baare me tafseel se janne ke liye yahan click kare. CLICK HERE.

qasar namaz ke baare me aur bhi tafseel se janne ke liye neeche mufti sahab ke videos dekh lo.