Qaza Namaz Kab aur Kaise Padhe

Qaza Namaz Kab aur Kaise Padhe

main aapko batata hoon keh qaza namaz aap kab aur kaise padh sakte hain.

aapko sabse pahele to diary (Notebook) banani hai.

aur usme aapko likhna hai keh aapke zimme qaza namaze kitni hai.

ek andaza lagana hai keh aap baalig kab huwe the.

baalig hone ke baad se ab tak aap ne kaunsi namaz padhi hai aur kaunsi chori hai.

jahir si baat hai 100% fisad sahi to koi nahi jaanta lekin phir aapko sahi sahi andaza lagana hai.

aur usko diary me likhna hai.

aapne likh liya is trah se keh mere zimme fajr ki qaza namaz itni hai, zuhar ki itni hai, asr ki itni hai, maghrib ki itni hai, isha ki itni hai aur haan witr ki qaza bhi ada karna wajib hai.

main aapko diary me note karne ka isliye bol raha hoon keh bahut se log qaza namaz ada karte karte bhool jaate hain.

diary se aapko yaad rahega keh aapko kitni padhni hai aur aapne kitni padhi hai.

to yahan tak to hogaya keh aapne diary me likh liya.

ab ye bhi jaanna zaroori hai keh qaza namaz kab padhna chahiye aur kab nahi padhna chahiye.

din me 3 waqt jab kisi bhi trah ki namaz padhna manah hai jaise keh suraj nikalte waqt (Tulu e Aaftab), suraj jab ekdum sar par ho (Zawaal), aur jab suraj guroob ho raha ho (Zuroob e Aaftab) is waqt qaza namaz nahi padhna chahiye.

aap isko kisi aalim se pooch le ye 3 waqt sab city me alag alag hota hai mausam ke hisaab se.

in 3 waqto ke ilawa aap kabhi bhi apni qaza namaz padh sakte hain.

koi bhi namaz aap jab chahe padh sakte hain.

agar aap chahte hain keh aap pahele fajr ki saari qaza namaz padhe to wo bhi aap kar sakte hain.

isi trah zuhar ki, asr ki, maghrib ki, isha ki aur witr ki bhi aap padh sakte hain.

ya phir aap pahele fajr ki, phir uske baad zuhar ki, phir uske baad asr ki, phir uske baad maghrib ki, phir uske baad isha ki aur witr ki bhi padh sakte hai.

aap fajr ki qaza namaz zuhar ke time ya kisi bhi time padh sakte hain.

sirf fajr ki qaza namaz hi nahi balki koi bhi qaza namaz aap kisi bhi time padh sakte hain sirf 3 waqt jin me namaz padhna manah kiya gaya hai sirf us waqt nahi padh sakte.

aap jaise chahe jis tarteeb se chahe waise apni qaza namaz padh sakte hai.

jab bhi aap apni koi qaza namaz padhe to apni diary me jo qaza namaz likhi hai us me se aapko kam (Minus) karte rahena hai.

jab bhi aap qaza namaz padhe apni diary me se us namaz ko kam karte rahena hai jab tak aapki puri qaza namaz aap padh nahi lete.

aur ye yaad rahe keh sirf tauba karne se qaza namaz maaf nahi hoti balki use padhna zaroori hai.

aur ainda ye pakka irada kare keh aap kabhi namaz nahi choro ge.

ab baat karte hain qaza namaz ki niyat kaise karte hain.

niyat aapko aise karni hai jaise aap farj ki namaz padh rahe hain meshaal ke taur par.

to aapko yeh niyat karni hai keh “ya allah mere zimme jitni fajr ki qaza namaze hain un me se main sabse paheli namaz ada kar raha hoon, munh (Chahera) mera kaaba sharif ki taraf, waaste allah ke”.

jab dobaara fajr aap padhenge to bhi yahi niyat aapko karni hai.

kyonki jo namaz aap padh choke hain wo namaz aapke zimme nahi hai wo to aap ada kar chuke hain.

har baar aapko isi trah niyat karni hai.

ye to maine meshaal di hai fajr ki isi trah aapko zuhar ki qaza namaz ki niyat, asr ki qaza namaz ki niyat, maghrib ki qaza namaz ki niyat, isha ki qaza namaz ki niyat ya witr ki qaza namaz ki niyat aapko aise hi karni hai.

is trah se aap apni qaza namaze padhle.

is trah se insha’allah aapki namaze ada ho jayegi.