Quran Ki Tilawat Kaise Karte Hain

Quran Ki Tilawat Kaise Karte Hain

aurat agar quran ki tilawat karti hai to dheemi awaaz se karni chahiye tez awaaz se nahi karni chahiye.

aur mard agar quran padhta hai to dheemi awaaz se bhi padh sakta hai par oonchi awaaz se padhna chahiye.

dheemi awaaz se quran padhne me koi harz nahi hai.

itni bhi oonchi awaaz na ho keh log pareshan hona shuru ho jaye.

oonchi awaaz me quran padhne se ghar me bahut barkat hoti hai.

hadees se ye baat saabit hai keh jab oonchi awaaz me tilawat hoti hai to ghar me shayateen ke ashraat khatam hote hai.

farishte tilawat ko sunte hain aur bahut barkate hoti hai.

lekin jab bhi aap oonchi awaaz me quran ki tilawat kare to ye baat dheyaan me rakhe keh ghar walo ko isse pareshani na ho.

aisa na ho koi bachcha padh raha hai uska subah exam hai.

aur aap usko bahut tez quran ki tilawat suna rahe hain.

isse to bachcha pareshan ho jayega.

aapko bahut tez awaaz me quran ki tilawat nahi karni chahiye jisse log pareshan ho jaye.

ab baat karte hain quran ki tilawat karte waqt speed kitni honi chahiye.

quran ki tilawat zyada speed me bhi kar sakte hain aur kam speed me bhi kar sakte hai.

agar aap samajhte hain speed me tilawat karne se aap zyada tilawat kar lenge to aap speed me bhi tilawat kar sakte hain.

lekin is speed ki bhi ek hadd hai.

itni speed jaiz nahi hai keh alfaaz samajh me na aaye, aapki tilawat koi sun raha ho to uski samajh me hi na aaye keh aap kya padh rahe hain.

to itni speed jaiz nahi hai.

aap utni hi speed me quran padh sakte hain jab aapko apne padhe huwe alfaaz samajh me aa rahe ho.

aap utni speed me quran nahi padh sakte jab aapko apne padhe huwe alfaaz samajh me na aa rahe ho.

agar aapko quran me jo arbi me likha hai wo samajh me aata ho to aapko itni hi speed me tilawat karni chahiye keh aapko us aayat ka matlab bhi samajh me aaye jo aap padh rahe hain.

itni bhi speed me na padhe keh aapko aayat ka matlab hi samajh me na aaye.