Safar Me Namaz Kaise Padhe

Safar Me Namaz Kaise Padhe

safar me namaz ki niyat kaise karte hain pahele ye dekh lete hain.

safar ki namaz ki niyat bhi aap aise hi karenge jaise baghair safar ki namaz ki niyat hoti hai.

bas aap ye dekh le aap kitni rakat padh rahe hain aur kaunsi namaz padh rahe hain.

safar me farz namaz aadhi padhi jaati hai.

safar ki namaz me farz namaze jo 4 rakat hain unko 2 rakat padhna hai.

jaise zuhar, asr aur isha ki namaz aapko 2 rakat padhna hai.

aur fajr aur maghrib ki farz namaz aapko utni hi padhni hain jitni baghair safar ke padhi jaati hai ye aadhi nahi hogi.

aur witr ki namaz bhi aapko 3 rakat hi padhni hai.

safar me agar bahut zyada taklif hai ya safar bahut mushkil guzar raha hai to aap sunnat namaze chor sakte hain.

aur agar safar achcha guzar raha hai baghair kisi taklif ke to aapko sunnate bhi padhni padegi.

sunnato ka talluq mushkil se hai.

nafl namaz aap safar me padh bhi sakte hain aur nahi bhi ye aapki marzi par hai.

safar me namaz ke baare me tafseel se janne ke liye neeche mufti sahab ki videos dekh le.