Sajde Me Dua Mangne Ka Tarika
sajde me dua mangne ka tarika main aapko batata hoon.
farz namaz ke sajdo me to bahetar yahi hai keh sirf Subhana Rabbi Al Aala padha jaye.
kyon ki nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka farz namaz me yahi mamool tha.
agar aap farz namaz padha rahe hain to aapko sajdo me dua nahi mangni chahiye sirf Subhana Rabbi Al Aala padhna chahiye.
kyon ki agar aap farz namaz ke sajdo me dua mangte hain to namaz lambi ho jayegi.
hadeesh me isko pasand nahi kiya gaya hai.
lekin agar koi farz namaz ke sajdo me dua mang bhi le to use koi gunah nahi hoga.
Sajde Me Dua Kaise Mange
aapko agar sajdo me dua mangni hai to aap nafil namaz me dua mang sakte ho.
jab aap sajde me jaye to Subhana Rabbi Al Aala 3 martaba padhne ke baad dua kare.
sajde me arbi me dua wahi mangni hai jo quran hadeesh se saabit hai.
aapko arbi me dua mangni hai.
aur dua bhi wahi mangni hai jo quran aur hadeesh se saabit ho.
sajde me aap apni zaban me dua nahi kar sakte aur apne alfaaz se bhi dua nahi kar sakte.
kyon ki namaz me kalaam karne ki izajat nahi hai.
aap apne alfaaz me ya apni zaban me dua mange ge to ye kalaam ho jaye ga.
aur kalaam ki yani baat cheet ki namaz me izajat nahi hai.
to jo dua quran aur hadeesh me batai gayi hai un me se koi bhi dua padh sakte ho.
dua ke pahele aur baad me darood sharif bhi padh sakte hain.
aur darood sharif nahi bhi padhe to koi baat nahi.
nafil namaz ke sajdo me dua mangna chahiye.
aur farz namaz me bahetar yahi hai keh sirf Subhana Rabbi Al Aala padhi jaye.
lekin agar aap farz namaz ke sajde me dua mangte hain to aap gunah gaar nahi honge.
ye bhi aap kar sakte hain.
lekin nafil namaz me sajdo me dua mangne ka ahetamam karna chahiye.