Tahajjud Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hota Hai

Tahajjud Ka Waqt Kab Se Kab Tak Hota Hai

Dekhiye Isha ki namaz ke baad Tahajjud kisi bhi waqt padhi ja sakti hai.

Lekin sabse zyada fazilat waala waqt raat ka aakhri tehai hissa hai.

Yani Isha ke baad aur Fajr se pahele ke time ko 3 hisson me divide karde barabar barabar.

To jo aakhri tehai hissa hoga ye sabse best waqt hai tahajjud ka (Fajr se pahele).

to ye nahi ho sakta aapse to kabhi bhi sune ke baad uthkar tahajjud padh sakte hain aadhi raat ko bhi.

Best hai keh neend lein, sune ke baad uthna ye tahajjud ka afzal waqt hai.

aur iski bhi taufeeq nahi milti to sune se pahele bhi padhi ja sakti hai.

Lekin sabse afzal hai aakhri hissa.

agar aap aakhri hisse me nahi padhte thodi si neend lene ke baad uthkar padh lete hain ye bhi ganimat hai.

agar aapse ye bhi nahi hota to aap isha ke baad bhi tahajjud padh sakte ho.

Lekin sabse afzal hai isha ke baad aur fajr se pahele ka ek tehai aakhri hissa (Last One-Third Hissa).