Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika

Tahajjud Ki Namaz Ka Tarika

tahajjud ki namaz ka koi khaas tarika nahi hai.

jaise hum sunnat ya nafl namaz padhte hain waise hi tahajjud ki namaz bhi padhni hai.

mera matlab jaise hum sunnat ya nafl namaz me niyat karke allahu akbar kahe kar haath bandhte hain aur roko me 3 martaba subhana rabbi al azeem kahete hain aur phir sajde me ja kar subhana rabbi al aala kahete hain waise hi padhna hain.

jaise hum qaade me baith kar at-tahiyat aur darood ibrahim aur dua mashoora padhte hain aur phir salam pherte hain bilkul aise hi padhna hai.

jaise hum aam namaze padhte hain waise hi tahajjud ki namaz bhi padhi jaati hai.

tahajjud ki namaz ka koi alag se khaas tarika nahi hai.

agar aapko lambi surat yaad hai to aap lambi surat bhi padh sakte hain.

aur agar aapko lambi surat yaad nahi hai to aap choti choti surat bhi padh sakte hain.

tahajjud ki namaz padhna zaroori hai.

phir chahe aap lambi tilawat kare ya choti tilawat kare.

ab baat karte hain tahajjud ki namaz kitni kitni rakat karke padhni chahiye.

aap chahe to 4 4 rakat karke bhi padh sakte hain aur 2 2 rakat karke bhi.

nabi (sallallahu alaihi wasallam) 4 4 rakat karke bhi padhte the.

lekin nabi (sallallahu alaihi wasallam) zyada tar 2 2 rakat karke padhte the.

ab baat karte hain tahajjud me totel kitni rakat padhni chahiye.

nabi (sallallahu alaihi wasallam) ne 2 rakat bhi padhi hai, 4 rakat bhi padhi hai, 6 rakat bhi padhi hai, 8 rakat bhi padhi hai, aur 8 rakat se zyada bhi padhi hai.

lekin nabi (sallallahu alaihi wasallam) zyada tar totel 8 rakat padhte the.

agar aapke paas waqt kam hai tahajjud padhne ka to aap kam rakat bhi padh sakte ho.

aur agar aapke waqt kaafi zyada hai to aap zyada se zyada kitni bhi padh sakte ho.

tahajjud ki namaz padhna zaroori hai.

ulma kahete hain tahajjud ki namaz kam se kam 2 rakat padhni chahiye.

agar aapko tahajjud ki namaz ki niyat aur waqt ke baare me janna hai to yahan click kare.