Tayammum Ka Tarika
tayammum ka sahi tarika main aapko batata hoon.
lekin usse pahele agar 1 mile (yani 1.6 Kilometre) ke andar paani maujood hai to tayammum karna jaiz nahi hai.
tayammum karne ke liye sabse pahele aapko niyat karni hai.
aapko apne dil me irada karna hoga keh main wuzu ke tayammum ki niyat karta hoon ya ghusl ke tayammum ki niyat karta hoon.
wuzu ho ya ghusl jiska bhi aap tayammum karna chahte ho pahele uski niyat karlo.
uske baad aap apni aasteen kohniyon (elbows) tak chada lo.
ab aap ek baar mitti par haath maro phir usko jhatko aur apne chahere par achchi trah apna haath ragdo.
aur phir doosri baar apna haath mitti par maro.
aur apne ulte (Left) haath se apne seedhe (Right) haath ko kohniyo tak achche se ragdo.
aur phir apne seedhe (Right) haath se apne ulte (Left) haath ko kohniyo tak achche se ragdo.
aapka tayammum ho gaya.
wuzu ke tayammum ka bhi yahi tarika hai.
aur ghusl ke tayammum ka bhi yahi tarika hai.
bas niyat me farq hoga.
agar aapko wuzu ka tayammum karna hai to aapko wuzu ke tayammum ki niyat karni hogi.
aur agar aapko ghusl ka tayammum karna hai to aapko ghusl ke tayammum ki niyat karni hogi.
tayammum karne ka tarika wahi hoga jo maine oopar aapko bataya.
neeche wala video zaroor dekhe aapko mufti sahab achche se samjha denge tayammum ka tarika kya hai.