Ya Ali Madad, Ya Rasool Allah Madad, Ya Ghous Azam Madad Kehna Kaisa Hai
ya ali madad kehna ya phir ya rasool allah kehna ya phir ya ghous al madad kehna is trah ke alfaz ko nazar andaaz karna chahiye.
agar aap ye soch kar ya ali madad ya rasool allah madad ya ghous al madad kahe rahe hain keh hazrat ali aapki madad karenge ya nabi aapki madad karenge ya hazrat ghous aazam aapki madad karenge to ye shirk hai.
is trah ke alfaaz aapko apne munh se nahi nikalna chahiye.
in alfaaz se jitna ho sake utna door rahena chahiye.
in trah ke alfaaz se aapka imaan tak khatre me aa sakta hai.
aapko sirf aur sirf Allah se madad maangna chahiye.
agar koi bahut badi hasti ke oopar maut aa choki hai to aap unse madad nahi mang sakte chahe kitni hi badi hasti kyon na ho.
allah ke alawa sab allah ke ghair hai.
allah ke ghair se madad maangna shirk hai.
sirf allah hi hai jo har kisi ki madad kar sakta hai aur sabki dua bhi wahi qabool kar sakta hai.
isliye allah ke alawa kisi se bhi madad murad ya mannat na mange.
aur ya ali madad ya rasool allah madad ya ghous al madad is trah ke naare aur alfaaz se door rahe.